Wednesday, May 5, 2010

EK NAYA SAVERA (5th May 2010, 0950 Hrs)

Yeh maine jana bas aaj kal
Bharat ka bhavishya hai bahut ujwal
Maine nahin dekha tha pehle kabhi
Nayi peedi ki soch mein aisa fark

Katinayion ki parwah kiye bina
Har shaksh badalna chahta hai purane Bharat ki tasveer
Desh mein paresaniyon ke hain kaei pehlu
Naujawano usse samajhne lage hain aaj

Ek naya savera dastak de raha
Shitij chamakne laga hai swarnim sa
Haan doston, ek naya savera ka aeilaan ho chuka hai
Aur main un saare naujawano ko salaam karta hoon

Salaam karta hoon dil ki gehrayiyon se!


Johnny D
5th May 2010


No comments:

Post a Comment